Breaking

Monday, 7 April 2014

BARKAT WALA NIKAH

BARKAT WALA NIKAH
.



[Nikah
Ka Sahi Tarika]
(MUST READ & SHARE)
.
MUHAMMAD Sallallaho alehi
wasallam ne farmaya ki
nikah
jitna sada hoga utna hi
barkat wala hoga.....
Isliye nikah mein na to fuzul
kharchi honi
chahiye aur na ger islami
rasmon ki adaigi....
.
kuch muftiyan e deen ke
fitnon ki roshni mein
nikah k islami tor tariko k
bare mein chand
sharayi ahkam pesh kiye
jate hain... Taki
malumaat mein izafa ho aur
amal krne mein
asani ho jae:-
.
1-
jab ladke aur ladki wale
rishte k liye
razamand ho jae to barae
rast nikah ki tarikh te
ki jae.. Nikah se qabl
mangni k naam par koi
takreeb krna ya kuch len
den krna naqadi dena
ya zewar pehnana ger
islami rasm he jo shara'an
jayaz nahi...mangni ek
waada he yani zabani
iqrar...

.
2- Nikah masjid mein kia
jae taki nikah ka ibadat
hona zahir ho..
.
3- ''Salami'' yani dulha ke
sath ajnabi mardon ka
aurto mein jana dulha ke
jute churana aur kuch
naqdi lekr wapas karna
sakht gunah hai, isse
gurez kare...
.
4- rishtedaro aur milne
julne walo ki rupe pese
se milai shara'an jayaz
nahi...milai k liye sirf
salam aur musafa hi kafi
he...
.

5-baraat bulana ya le jana
shara'an sabit nahi he..
Barat le jana hinduana rasm
he, nez barat mein
bhot si qabahate aur
munqarat hote he.. Ldke
walo ki taraf se dulha k sath
do char admi nikah
mein shareek ho jae ye kafi
he..badi tadad mein
logo ko dusre k ghar le jana
aur us par bhaar
bnna haram he...
.

6- Dawat e walima ka
ahtmaam apni hesiyat k
mutabik kiya jae usme
naam o namodar aur
shohrat ki niyat na ho ye
cheezen esi maasiyat
aur gunah he k jis amal
mein payi jati he wo
faasid ho jata he aur na
usme qarz ka rupya
lagaya jae... jis dawat ka
ahtmaam qarz se ho
uska khana jayaz nahi..
.

7.Dawat mein shareek hokr
naqdi dena ya lena
shara'an jayaz nahi. Ye ek
tarha ka qarz he aur
zindagi bhar baqi rehta he.
.
Farmaya sallallaho
alehi wasallam ne k momin
ka nafs uske qarze k
badle mein malluq rehta he
hatta k uska qarz
ada kardia jae. Yani jo shaks
maqrooz hokr mara
to wo us waqt tak jannat
mein ya sualeheen ki
jamaat mein dakhil na hoga
jab tak k uska qarz
ada na kardia gya ho.
.

8- nikah ki tarikh te krte
waqt meher bhi te
karlia jae. Meher majlise
nikah mein ya khaloot
sahih se qabl ada karna
afzal he. Meher biwi ka
haq he aur shohar k zimme
qarz he. Agar ada na
kia gya to haq-ul-ba'ad
mein shohar giraft
rhega.
.
9- jahez aur zever ki
numaish krna aur uski
fehrist sbko padhkr sunana
shara'an durust nahi
he. Nez zanana kapdo aur
zever ka ajnabi mardo
ko dekhna aur dikhlana
intehayi be sharmi aur
be hayayi ki bat he aur
shariat ki nazar mein
bura fel he.
.

10- jehz par zor na diya jae
balki ladki ka jo haq
virasat mein nikalta he wo
us ko iski shakal
mein ada kia jae taki ladki
ki milkiyat baki rahe.
Ye ladki se haqiqi
mohabbat ki alamat he.
.
11- shadi biya ya deegar
takreebat mein naach
gana, video film aur tasveer
kashi najayaz aur
haraam he aur in tasveero
ko bator yadgar
rkhna b haraam he. Unse
ehtram lazim he. dusro
ko b rokne ki koshish kare
.
.
12- shadi biyah ki deegar
rasoomat sehra bndhai
maiyo bethana, mu dikhai,
god bharai , chauthi ,
chala sb ger sharayi he unke
artaqab se gunah
lazim he......

No comments: